hastī  koī  aisī  bhī  hai  insāñ  ke  sivā  aur
maz.hab  kā  ḳhudā  aur  hai  matlab  kā  ḳhudā  aur
phir  Thahar  gayā  qāfila-e-dard  sunā  hai
shāyad  koī  raste  meñ  mirī  tarah  girā  aur
ik  jurra-e-āḳhir  kī  kamī  rah  ga.ī  āḳhir
jitnī  vo  pilāte  ga.e  āñkhoñ  ne  kahā  aur
mimbar  se  bahut  fasl  hai  maidān-e-amal  kā
taqrīr  ke  mard  aur  haiñ  mardān-e-viġhā  aur
allāh  gila  kar  ke  maiñ  pachtāyā  huuñ  kyā  kyā
jab  ḳhatm  huī  baat  kahīñ  us  ne  kahā  aur
kyā  zer-e-lab  dost  hai  iz.hār-e-jasārat
haq  ho  ki  vo  nāhaq  ho  zarā  lai  to  baḌhā  aur
daulat  kā  to  pahle  hī  gunahgār  thā  mun.im
daulat  kī  mohabbat  ne  gunahgār  kiyā  aur
ye  vahm  sā  hotā  hai  mujhe  dekh  ke  un  ko
sīrat  kā  ḳhudā  aur  hai  sūrat  kā  ḳhudā  aur