le  lūñgā  jaan  de  ke  mohabbat  jahāñ  mile
kuchh  din  meñ  shāyad  aur  ye  saudā  garāñ  mile
ai  kārvān-e-ishq-o-vafā  ke  musāfiro
kahnā  mirā  salām  bhī  manzil  jahāñ  mile
hamvār  kar  mizāj  bahār-o-ḳhizāñ  se  dil
mumkin  nahīñ  mizāj-e-bahār-o-ḳhizāñ  mile
ye  manzilat  bhī  hissa-e-dushman  meñ  aa.e  kyuuñ
ham  sar  na  phoḌ  leñ  jo  tirā  āstāñ  mile
pahle  hī  se  diloñ  ke  na  milne  kā  Dhañg  thā
jis  moḌ  par  mile  haiñ  vo  dāman-kashāñ  mile
maiñ  ne  kiyā  hai  ek  hī  unvān  se  ḳhitāb
kis  kis  ke  ruup  meñ  na  mire  mehrbāñ  mile
kyuuñ  jaa.e  'najm'  aisī  fazā  chhoḌ  kar  kahīñ
rahne  ko  jis  ke  gulshan-e-hindostāñ  mile