Najm Aafandi

muskurahaTen sikhen qahr ki nigahon se

Najm Aafandi

Agra, Uttar pradesh, India

1893-1975
muskurāhaTeñ sīkheñ qahr kī nigāhoñ se
dād-e-sarkashī le lī ham ne kaj-kulāhoñ se
kyā kaheñ mohabbat kā raaz kam-nigāhoñ se
ham ne dil banā.e haiñ āñsuoñ se aahoñ se
apnī ma.arifat kā ham ek din sabaq deñge
dekhte chale jaao ajnabī nigāhoñ se
us ke haq kā mujrim huuñ phir bhī us kī rahmat hai
ḳhud bachā liyā mujh ko mubtazil gunāhoñ se
farsh par hai taḳht un kā arsh par dimāġh apnā
kyā faqīr rahte haiñ dab ke bādshāhoñ se
saare mas.ale hal haiñ maslak-e-mohabbat meñ
un kī raah miltī hai be-shumār rāhoñ se
'najm' ye nishānī hai ahl-e-dil kī duniyā meñ
ham ko ḳhaas nisbat hai ġham kī bārgāhoñ se
Top Urdushayar.com