chamke  duurī  meñ  kuchh  aks  nishānoñ  ke
terī  aañkh  meñ  ḳhvāb-e-jamīl  jahānoñ  ke
utre  aañkh  meñ  harf  sunahre  manzar  ke
jaage  dil  meñ  shauq  basīt  uḌānoñ  ke
khule  hue  darvāze  shahar  kī  āñkheñ  haiñ
jin  meñ  bhed  ka.ī  mahjūr  zamānoñ  ke
kab  ban-bās  kaTe  is  shahar  ke  logoñ  kā
qufl  khuleñ  kab  jaane  band  makānoñ  ke
ek  fasīl  khiñchī  hai  dil  meñ  duurī  kī
jis  ke  paar  haiñ  raste  dard-ḳhazānoñ  ke
vo  jo  raat  ko  din  se  badalte  rahte  the
miT  ga.e  dil  se  naqsh  aise  armānoñ  ke