shahar-e-ġhaflat  ke  makīñ  vaise  to  kab  jāgte  haiñ
ek  andesha-e-shabḳhūñ  hai  ki  sab  jāgte  haiñ
shāyad  ab  ḳhatm  huā  chāhtā  hai  ahd-e-sukūt
harf-e-e.ajāz  kī  tāsīr  se  lab  jāgte  haiñ
rāh-e-gum-karda-e-manzil  haiñ  ki  manzil  kā  surāġh
kuchh  sitāre  jo  sar-e-qarya-e-shab  jāgte  haiñ
aks  in  ā.ankhoñ  se  vo  mahv  hue  jo  ab  tak
ḳhvāb  kī  misl  pas-e-chashm-e-talab  jāgte  haiñ
harf-e-ḳhufta  kī  tarah  chashm-e-taġhāful  ke  bhī
ba.az  auqāt  to  mafhūm  ajab  jāgte  haiñ
sahm  jaate  haiñ  muñDeroñ  pe  kabūtar  'sayyad'
rāste  beḌiyoñ  kī  chaap  se  jab  jāgte  haiñ