zindagī  ke  kaTahre  meñ  ik  be-ḳhatā  aadmī  kī  tarah
ham  muḳhātib  hue  aap  se  be-navā  aadmī  kī  tarah
dūriyoñ  se  ubhartā  huā  aks  tasvīr  bantā  gayā
guftugū  raat  kartī  thī  ham  se  havā  aadmī  kī  tarah
kaun  kyā  sochtā  hai  hamāre  ravayyoñ  pe  sochā  nahīñ
umr  ham  ne  guzārī  hai  ik  mubtalā  aadmī  kī  tarah
rauzanoñ  tak  se  koī  makīñ  jhāñktā  ye  bhī  mumkin  na  thā
dastakeñ  detī  phirtī  thī  bād-e-sabā  aadmī  kī  tarah