yuuñ  ehtimām-e-radd-e-sahar  kar  diyā  gayā
har  raushnī  ko  shahr-badar  kar  diyā  gayā
apne  gharoñ  ke  sukh  se  bhī  rū-kash  dikhā.ī  deñ
logoñ  ko  mubtalā-e-safar  kar  diyā  gayā
jiinā  har  ek  ke  liye  mumkin  nahīñ  rahā
jiine  ko  ek  kār-e-hunar  kar  diyā  gayā
chehroñ  se  rañg  haath  se  ā.īne  chhīn  kar
be-chehragī  ko  raḳht-e-nazar  kar  diyā  gayā
ab  jism-o-jāñ  pe  haqq-e-tasarruf  talab  kare
zālim  ko  is  qadar  to  niDar  kar  diyā  gayā
darpai  the  har  shajar  ke  ta.affun-shi.ār  log
mahrūm  ḳhushbuoñ  se  nagar  kar  diyā  gayā
vo  qaht-e-ġham  paḌā  hai  ki  ik  Tiis  ke  liye
ahl-e-karam  kā  dast-e-nigar  kar  diyā  gayā