ik  rāz-e-dilrubā  ko  bayāñ  honā  hai  abhī
harf-o-sadā  ko  sho.ala-ba-jāñ  honā  hai  abhī
jaagī  hai  dil  meñ  shahd-e-shahādat  kī  aarzū
rāh-e-vafā  kā  sañg-e-nishāñ  honā  hai  abhī
rokā  huā  hai  tum  ne  havāoñ  ko  kis  liye
is  raakh  meñ  sharar  kā  gumāñ  honā  hai  abhī
sāñseñ  shaboñ  kī  jaañ  kī  tanābeñ  ukhaḌ  ga.iiñ
agle  safar  pe  ham  ko  ravāñ  honā  hai  abhī
mahsūr  hai  vo  kibr-o-anā  ke  hisār  meñ
us  se  ta.āruf  apnā  kahāñ  honā  hai  abhī
ta.abīr  kī  talāsh  meñ  phirte  haiñ  ḳhvāb  ḳhvāb
chashm-e-jahāñ  pe  aks-fashāñ  honā  hai  abhī