lahū  meñ  phuul  khilāne  kahāñ  se  aate  haiñ
na.e  ḳhayāl  na  jaane  kahāñ  se  aate  haiñ
ye  kaun  log  haiñ  har  shaam  tāq-e-mizhgāñ  par
charāġh-e-yād  jalāne  kahāñ  se  aate  haiñ
ḳhizāñ  kī  shāḳh  meñ  hairāñ  hai  aañkh  kī  koñpal
palaT  ke  ahd  purāne  kahāñ  se  aate  haiñ
samundaroñ  ko  sikhātā  hai  kaun  tarz-e-ḳhirām
zamīñ  kī  tah  meñ  ḳhazāne  kahāñ  se  aate  haiñ
zamām-e-abr  gurezāñ  hai  kis  ke  hāthoñ  meñ
muhīt-e-ḳhosha  meñ  daane  kahāñ  se  aate  haiñ
safar-e-nasīb  parindo!  tumhāre  hoñToñ  par
ye  ḳhush-gavār  tarāne  kahāñ  se  aate  haiñ
ḳhushī  ke  ahd  chale  jaate  haiñ  kahāñ  'sayyad'
udāsiyoñ  ke  zamāne  kahāñ  se  aate  haiñ