shikoh-e-āb  meñ  gum  the  jihat-nishāñ  mere
havā  ne  rakh  diye  tah  kar  ke  bādbāñ  mere
sahar  ko  saath  uḌā  le  ga.ī  sabā  jaise
ye  kis  ne  kar  diye  raste  dhuāñ  dhuāñ  mere
tire  ishāra-e-abrū  pe  rut  badaltī  hai
bahār  hai  na  tasallut  meñ  hai  ḳhizāñ  mere
utarne  vaale  safīnoñ  meñ  chhed  karte  ga.e
Dubo  ga.e  mujhe  sāhil  pe  mehrbāñ  mere
khilā  shagūfa-e-ġham  shāḳh-e-umr  par  'sayyad'
mahak  rahe  haiñ  sar-e-harf  jism-o-jāñ  mere