vahī  hai  dasht-e-safar  rahguzar  se  aage  bhī
vahī  ḳhalā  hai  hudūd-e-nazar  se  aage  bhī
vo  āftāb  usī  sahn  meñ  muallaq  hai
agarche  ghar  haiñ  bahut  us  ke  ghar  se  aage  bhī
hamāre  dam  se  hai  qaa.em  zamīñ  kī  zarḳhezī
hamārā  faiz  hai  shāḳh-e-shajar  se  aage  bhī
talāsh-e-nūr  meñ  ham  bārhā  nikal  aa.e
nazar  ke  saath  hudūd-e-safar  se  aage  bhī
ġhalat  umiid  na  bāñdho  nahīf  logoñ  se
koī  uḌā  hai  bhalā  bāl-o-par  se  aage  bhī
yahāñ  se  lauT  chalo  jaan  kī  amaañ  chāho
ka.ī  tilism  haiñ  dīvār-o-dar  se  aage  bhī