Mushfiq Khwaja

na ab wo KHush-nazari hai na KHush-KHisali hai

Mushfiq Khwaja

Lahore, Punjab, Pakistan

1935-2005
na ab vo ḳhush-nazarī hai na ḳhush-ḳhisālī hai
ye kyā huā mujhe ye vaz.a kyuuñ banā lī hai
ye haal hai mire dīvār-o-dar kī vahshat kā
ki mere hote hue bhī makān ḳhālī hai
dam-e-nazāra merī hairatoñ pe ġhaur na kar
ki merī aañkh azal yūñhī savālī hai
mire vajūd ko jis ne jalā ke raakh kiyā
vo aag ab tire dāman tak aane vaalī hai
guzartī shab kā har ik lamha kah gayā mujh se
sahar ke ba.ad bhī ik raat aane vaalī hai
musāfirān-e-rah-e-shauq thak ga.e bhī to kyā
jahāñ ruke vahīñ bastī na.ī basā lī hai
Top Urdushayar.com