na  ab  vo  ḳhush-nazarī  hai  na  ḳhush-ḳhisālī  hai
ye  kyā  huā  mujhe  ye  vaz.a  kyuuñ  banā  lī  hai
ye  haal  hai  mire  dīvār-o-dar  kī  vahshat  kā
ki  mere  hote  hue  bhī  makān  ḳhālī  hai
dam-e-nazāra  merī  hairatoñ  pe  ġhaur  na  kar
ki  merī  aañkh  azal  yūñhī  savālī  hai
mire  vajūd  ko  jis  ne  jalā  ke  raakh  kiyā
vo  aag  ab  tire  dāman  tak  aane  vaalī  hai
guzartī  shab  kā  har  ik  lamha  kah  gayā  mujh  se
sahar  ke  ba.ad  bhī  ik  raat  aane  vaalī  hai
musāfirān-e-rah-e-shauq  thak  ga.e  bhī  to  kyā
jahāñ  ruke  vahīñ  bastī  na.ī  basā  lī  hai