Sheen Kaaf Nizam

shaKH meri na ab shajar mera

Sheen Kaaf Nizam

1947

shāḳh merī na ab shajar merā

iḳhtiyār ab hai āñkh-bhar merā

aa.ine meñ to aks hai lekin

maar Dālegā mujh ko Dar merā

kaun jaane kahāñ kahāñ jā.ūñ

ham-safar ab ke hai safar merā

āsmānoñ pe rahā ḳhāmosh

ghar gayā tere naam par merā

maiñ ne sajde meñ sar jhukāyā thā

le ga.e sar utaar kar merā

tujh ko sab se judā banā dūñgā

chhīn mat harf hunar merā

dasht-o-sahrā ujaaḌ aayā huuñ

DhūñDhtā huuñ kahāñ hai ghar merā

dast-o-bāzū liye zabāñ mat le

āḳhirī par mat katar merā

mū-ba-mū kuchh simaT rahā hai 'nizām'

aur charchā hai dar-ba-dar merā

Top Urdushayar.com