Shauq Bahraichi

aql ki kuchh kam nahin hai rahbari mere liye

Shauq Bahraichi

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1884-1964
aql kī kuchh kam nahīñ hai rahbarī mere liye
har taraf light hai har-sū raushnī mere liye
ab kahāñ hai husn meñ vo dilkashī mere liye
rah ga.ī hañDiyāñ meñ ḳhālī khurchunī mere liye
ātish-e-qahr-e-ḳhudā dam bhar meñ kar detī hai gul
hai mirī tar-dāmanī ai ''ār-pī'' mere liye
un ke tevar mehrbāñ un kī nigāheñ multafit
de rahī hai zor puurī pārTī mere liye
saikḌoñ jiine meñ laale lākhoñ raḳhne ziist meñ
kirm-ḳhurda ai ḳhudā ye zindagī mere liye
ahl-e-mahshar le ga.e qahr-o-ġhazab sab luuT kar
sirf ik rahmat ḳhudā kī rah ga.ī mere liye
dil meñ rañg-o-roġhan-e-dahqāñ kā rahtā hai ḳhayāl
roz-marra gaañv se aatā hai ghī mere liye
jab maiñ jānūñ ḳhidmat-e-ḳhalq-e-ḳhudā karte haiñ aap
DhūñD diije koī aurat shaiḳh-jī mere liye
shukr hai allāh kā hindostāñ meñ hai qayām
yaañ zanānoñ kī nahīñ hai kuchh kamī mere liye
'shauq' Tapkā paḌ rahā hai rū-e-jānāñ se shabāb
sāmne rakkhī huī hai ras-bharī mere liye
Top Urdushayar.com