raaz  meñ  rakkheñge  ham  terī  qasam  ai  nāseh
le  nikāl  ab  vahī  gāñje  kī  chilam  ai  nāseh
ab  ḳhudā  ke  liye  rakh  ham  pe  karam  ai  nāseh
haiñ  pareshāñ  tirī  bakvās  se  ham  ai  nāseh
jhurriyāñ  ruḳh  kī  jo  paiġhām-e-qazā  laa.ī  haiñ
kab  talak  jāoge  tum  sū-e-adam  ai  nāseh
bāda-noshoñ  ko  na  samjhāne  kī  koshish  karnā
varna  phir  hogā  tirā  naak  meñ  dam  ai  nāseh
ba.ad  muddat  ke  milā  hai  to  chalā-chal  mire  saath
mai-kada  yaañ  se  hai  bas  chaar  qadam  ai  nāseh
pūchh  le  biitī  hai  kyā  rindoñ  ke  hāthoñ  in  par
ye  jo  haiñ  tere  chachā  shaiḳh-e-haram  ai  nāseh
kyā  huā  ḳhair  to  hai  kaisī  musībat  aa.ī
kis  ne  maarā  tujhe  kyuuñ  aañkh  hai  nam  ai  nāseh
bhuul  kar  bhī  kabhī  muñh  un  ke  na  lagnā  nādāñ
kuchh  ḳhabar  hai  baḌe  beDhab  haiñ  ni.am  ai  nāseh
tujh  ko  bhī  ishq-e-butāñ  kā  maza  kuchh  ho  ma.alūm
tere  palle  hoñ  agar  dām-o-diram  ai  nāseh
tū  hai  kyā  saarā  jahāñ  ḳhauf  se  kaañp  uThtā  hai
'shauq'  uThāte  haiñ  jo  shamshīr-e-qalam  ai  nāseh