Shauq Bahraichi

ek jafa-ju se mohabbat ho gai

Shauq Bahraichi

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1884-1964
ik jafā-jū se mohabbat ho ga.ī
haa.e ye kaisī himāqat ho ga.ī
ho gayā jis par masīhā mehrbāñ
band us ke dil kī harkat ho ga.ī
aa ga.ī un kī javānī aa ga.ī
ho ga.ī barpā qayāmat ho ga.ī
ye tasavvur kī karishma-sāziyāñ
dekhā jis shai ko vo aurat ho ga.ī
liije vo uTThī nigāh-e-iltifāt
liije takmīl-e-himāqat ho ga.ī
jab nigāh-e-nāz kamsin kī uThī
nannhī-munnī ik qayāmat ho ga.ī
jab hue vo mā.il-e-ahd-e-vafā
baḌh ke maan.e un kī luknat ho ga.ī
kyā kare bechārī duzdīda nigāh
chorī karnā us kī fitrat ho ga.ī
ye ināyāt-e-musalsal al-amāñ
dugunī aur tigunī musībat ho ga.ī
muñh lagī ummāl-e-ahd-e-nau ke bhī
kisī qadar gustāḳh rishvat ho ga.ī
maiñ ne yuuñ dil ko banāyā ā.īna
ā.īna-gar ko bhī hairat ho ga.ī
laakh zālim ne chhupā.e apne aib
'shauq' us kī phir bhī shohrat ho ga.ī
Top Urdushayar.com