zulf-e-darāz  se  ye  numāyāñ  hai  ġhāliban
bhālū  kī  shakl  kā  koī  insāñ  hai  ġhāliban
qaul  o  amal  meñ  jis  ke  nazar  aa.e  kuchh  tazād
vo  maulvī  nahīñ  koī  shaitāñ  hai  ġhāliban
gulshan  meñ  to  guloñ  kā  kahīñ  naam  tak  nahīñ
ye  bāġhbāñ  ke  haath  meñ  ghoiyāñ  hai  ġhāliban
hotā  hai  us  kī  shoḳhi-e-guftār  par  gumāñ
lahbaḌ  nahīñ  hai  ye  koī  Toiyāñ  hai  ġhāliban
hotā  nahīñ  hai  ab  jo  namak-pāshiyoñ  kā  daur
bas  ḳhālī  ḳhālī  un  kā  namak-dāñ  hai  ġhāliban
bulbul  ġhunūdgī  meñ  hai  aur  phuul  muzmahil
afyūnchī  ye  saarā  gulistāñ  hai  ġhāliban
firqa-parastiyoñ  ne  khilā.e  kuchh  aise  gul
samjhe  ye  log  fasl-e-bahārāñ  hai  ġhāliban
yuuñ  be-tahāsha  piine  lage  mai-kade  meñ  shaiḳh
Tharrā  bhī  ab  to  bāda-e-irfāñ  hai  ġhāliban
rah  kar  hamārī  gardish-e-qismat  ke  saath  saath
chakkar  meñ  ḳhud  bhī  gardish-e-daurāñ  hai  ġhāliban
hurmat  kā  us  kī  aap  ko  vaa.iz  jo  hai  ḳhayāl
bint-e-inab  huzūr  hī  kī  maañ  hai  ġhāliban
har  samt  jo  jalājal-o-qarnā  kā  shor  hai
ġhāzī-miyāñ  ke  byaah  kā  sāmāñ  hai  ġhāliban
ai  'shauq'  har  tarah  ke  nazar  aa  rahe  haiñ  husn
naḳhḳhās  hī  meñ  kūcha-e-jānāñ  hai  ġhāliban