guzar  ga.e  haiñ  jo  din  un  ko  yaad  karnā  kyā
ye  zindagī  ke  liye  roz  roz  marnā  kyā
mirī  nazar  meñ  ga.e  mausamoñ  ke  rañg  bhī  haiñ
jo  aane  vaale  haiñ  un  mausamoñ  se  Darnā  kyā
bujhe  hue  dar-o-dīvār  ko  bhī  raunaq  de
ye  ḳhvāb  ban  ke  mirī  aañkh  se  guzarnā  kyā
misāl-e-ashk  sar-e-dāman-e-hayāt  huuñ  maiñ
mirī  ravānī  hī  kyā  aur  mirā  Thaharnā  kyā
hujūm-e-jalva  se  jis  raah  par  charāġhāñ  thā
jo  bujh  ga.ī  hai  to  us  raah  se  guzarnā  kyā
misāl-e-naqsh-e-qadam  apnī  hairatoñ  meñ  huuñ  gum
vo  jā  chukā  hai  to  phir  intizār  karnā  kyā
guzar  rahī  hai  ġhanīmat  hai  zindagī  maanā
magar  ye  ek  hī  andāz  se  guzarnā  kyā