bhugat  rahā  huuñ  ḳhud  apne  kiye  kā  ḳhamyāza
Tapak  rahā  hai  jo  āñkhoñ  se  ye  lahū  taaza
kisī  kī  yaad  ke  saa.e  ko  ham-safar  samjhā
lagā  sako  to  lagā  lo  junūñ  kā  andāza
kise  majāl  ki  ab  mere  dil  meñ  ghar  kar  le
hai  garche  ab  bhī  khulā  apne  dil  kā  darvāza
nigār-e-vaqt  ne  har-sū  kamand  Daalī  hai
bikhar  na  jaa.e  kahīñ  anjuman  kā  shīrāza
ḳhudā  gavāh  hai  un  ko  bhī  de  rahā  huuñ  duā
jo  kaste  rahte  haiñ  'shākir'  pe  roz  āvāza