tanhā.ī  kā  ġham  Dho.eñ  aur  ro  ro  jī  halkān  kareñ
is  se  behtar  hogā  ki  vo  mashq-e-tīr-e-kamān  kareñ
vaqt  kā  ronā  rone  vaale  vaqt  ko  zaa.e  karte  haiñ
palkoñ  se  lamhoñ  kī  kircheñ  chunñe  kā  sāmān  kareñ
saḌkoñ  ke  chaurāhoñ  par  jin  ko  tanhā.ī  ghere  ho
us  sīmābī  duniyā  meñ  kyuuñ  jiine  kā  armān  kareñ
bāhar  kī  duniyā  meñ  jin  ko  jins-e-vafā  nāyāb  lage
apne  andar  ke  but-ḳhānoñ  ko  pahle  vīrān  kareñ
sūraj  kī  sat-rañgī  kirneñ  pyaas  bujhāne  aatī  haiñ
sātoñ  sakhiyāñ  phūl-badan  jab  gañgā  meñ  ashnān  kareñ
jo  dhartī  kī  shah-rag  kāTeñ  shiryānoñ  meñ  zahr  bhareñ
is  mūrakh  nagrī  ke  bāshī  un  hī  ke  gun-gān  kareñ