ham  jurm-e-mohabbat  kī  sazā  paa.e  hue  haiñ
be-vaj.h  nahīñ  hai  ki  jo  sharmā.e  hue  haiñ
thī  jin  kī  tab  o  taab  se  is  bazm  kī  raunaq
dīpak  vo  sar-e-shām  hī  kajlā.e  hue  haiñ
har  samt  siyāhī  hai  ghaTā-Top  añdherā
kyā  zulf-e-dotā  aaj  vo  bikhrā.e  hue  haiñ
ham  ḳhūgar-e-taslīm-o-razā  aaj  haiñ  varna
maazī  meñ  bahut  Thokareñ  bhī  khaa.e  hue  haiñ
hai  barbat-e-dil  saḳhti-e-mizrāb  se  larzāñ
talḳhi-e-mohabbat  kā  maza  paa.e  hue  haiñ
ai  dost  sukūñ  ham  ko  mayassar  nahīñ  hotā
āshuftagī-e-dahr  se  ghabrā.e  hue  haiñ