Krishn Bihari Noor

aag hai pani hai miTTi hai hawa hai mujh mein

Krishn Bihari Noor

Lucknow, Uttar pradesh, India

1926-2003
aag hai paanī hai miTTī hai havā hai mujh meñ
aur phir mānñā paḌtā hai ḳhudā hai mujh meñ
ab to le de ke vahī shaḳhs bachā hai mujh meñ
mujh ko mujh se jo judā kar ke chhupā hai mujh meñ
jitne mausam haiñ sabhī jaise kahīñ mil jaa.eñ
in dinoñ kaise batā.ūñ jo fazā hai mujh meñ
aa.ina ye to batātā hai maiñ kyā huuñ lekin
aa.ina is pe hai ḳhāmosh ki kyā hai mujh meñ
ab to bas jaan hī dene kī hai baarī ai 'nūr'
maiñ kahāñ tak karūñ sābit ki vafā hai mujh meñ
Top Urdushayar.com