sūraj  se  ras  bhañvar  se  tū  sāhil  kashīd  kar
sahrā  ke  zarre  zarre  se  mahmil  kashīd  kar
in  rā.egāñiyoñ  se  kinārā  na  kar  qubūl
lā-hāsilī  ke  karb  se  hāsil  kashīd  kar
bhar  tū  sitāra-vār  uḌāneñ  falak  ke  paar
aur  lā-makāñ  se  phir  koī  manzil  kashīd  kar
jazboñ  kī  hiddatoñ  se  tū  barfāb  khīñch  le
mīnā-e-ishq  se  tū  mirā  dil  kashīd  kar
tasḳhīr  kar  fishār-e-rag-e-āftāb  ko
qaus-e-quzah  se  phir  had-e-fāsil  kashīd  kar
imkān  se  tahayyur  o  shīshe  se  aks  chhīn
zulmāt-e-shab  se  tū  mah-e-kāmil  kashīd  kar
ġham-hā-e-nā-rasā.ī-e-zauq-e-talab  sameT
arzāniyoñ  se  shauq  kī  mushkil  kashīd  kar
bāda-o-añgbīñ  se  mire  ḳhāl-o-ḳhad  sañvār
maanī  ke  shāhkār  se  ik  til  kashīd  kar
soz-e-darūñ  tarāsh  kisī  barf-zār  se
yaḳh-basta  ashk  mai  ke  muqābil  kashīd  kar
'anjum'  sharār-e-ishq  hai  hañgāma-e-alast
band-e-hijāb  se  use  ġhāfil  kashīd  kar