har  pal  tirā  ḳhayāl  surūd-e-ḳhayāl  hai
so  chashm-e-tar  bhī  ā.īna-e-aks-e-yār  hai
us  hīla-jū  kī  yaad  bhī  ab  raftanī  huī
ik  hijr  rah  gayā  hai  so  vo  be-shumār  hai
be-ḳhvāb  ratjage  kabhī  ashkoñ  ke  haiñ  charāġh
hai  raftagāñ  kā  sog  dil-e-be-qarār  hai
tark-e-ta.alluqāt  ko  go  muddateñ  huiiñ
ab  bhī  dil-e-tabāh  magar  sogvār  hai
haft-āsmāñ  bhī  laakh  tirā  parda-dār  ho
har  zarra  kā.enāt  kā  timsāl-dār  hai
mauj-e-tilism-e-shauq  fareb-e-gumāñ  sahī
kyā  kījiye  ki  dil  ko  tirā  e'tibār  hai
kab  rakh  sakī  asīr-e-zamān-o-makāñ  kī  qaid
'anjum'  nigār-e-zīst  to  musht-e-ġhubār  hai