pas-e-yaqīñ  kahīñ  ham  bhī  tire  gumān  meñ  haiñ
tirā  nishāñ  haiñ  ye  taare  jo  āsmān  meñ  haiñ
haram-sarā  thā  tirā  dil  so  chhoḌ  aa.e  use
vagarna  kahne  ko  ab  bhī  usī  makān  meñ  haiñ
mire  nasīb  ke  ḳhush-rañg  ḳhvāb  aur  sarāb
na  is  jahān  meñ  the  aur  na  us  jahān  meñ  haiñ
maiñ  apne  vāste  in  meñ  se  ḳhud  hī  chun  lūñgī
vo  sānehe  jo  mayassar  tirī  dukān  meñ  haiñ
sarāb  haiñ  ye  tumhāre  sab  ā.ina-ḳhāne
basārteñ  bhī  na-jāne  kis  imtihān  meñ  haiñ
kabhī  vo  ā.ina-e-chashm  meñ  sañvarte  the
vo  saare  ḳhvāb  nisāboñ  ke  jo  bayān  meñ  haiñ
na-jāne  lā.eñge  dil  par  tabāhiyāñ  kyā  kyā
vo  hādse  jo  abhī  tak  tirī  kamān  meñ  haiñ
ye  pul-sirāt  kahāñ  le  chalā  hameñ  'anjum'
na  ham  zamīñ  ke  rahe  aur  na  āsmān  meñ  haiñ