jaan  pyārī  thī  magar  jaan  se  be-zārī  thī
jaan  kā  kaam  faqat  jān-faroshī  niklā
ḳhaak  maiñ  us  kī  judā.ī  meñ  pareshān  phirūñ
jab  ki  ye  milnā  bichhaḌnā  mirī  marzī  niklā
sirf  ronā  hai  ki  jiinā  paḌā  halkā  ban  ke
vo  to  ehsās  kī  mīzān  pe  bhārī  niklā
ik  na.e  naam  se  phir  apne  sitāre  uljhe
ye  nayā  khel  na.e  ḳhvāb  kā  baanī  niklā
vo  mirī  ruuh  kī  uljhan  kā  sabab  jāntā  hai
jism  kī  pyaas  bujhāne  pe  bhī  raazī  niklā
merī  bujhtī  huī  āñkhoñ  se  kiran  chuntā  hai
merī  āñkhoñ  kā  khañDar  shahr-e-ma.ānī  niklā
merī  ayyār  nigāhoñ  se  vafā  māñgtā  hai
vo  bhī  mohtāj  milā  vo  bhī  savālī  niklā
maiñ  use  DhūñDh  rahā  thā  ki  talāsh  apnī  thī
ik  chamaktā  huā  jazba  thā  ki  ja.alī  niklā
maiñ  ne  chāhā  thā  ki  ashkoñ  kā  tamāshā  dekhūñ
aur  āñkhoñ  kā  ḳhazāna  thā  ki  ḳhālī  niklā
ik  na.ī  dhuup  meñ  phir  apnā  safar  jaarī  hai
vo  ghanā  saaya  faqat  tifl-e-tasallī  niklā
maiñ  bahut  tez  chalā  apnī  tabāhī  kī  taraf
us  ke  chhuTne  kā  sabab  narm-ḳhirāmī  niklā
ruuh  kā  dasht  vahī  jism  kā  vīrāna  hai
har  nayā  raaz  purānā  lagā  baasī  niklā
sirf  hashmat  kī  talab  jaah  kī  ḳhvāhish  paa.ī
dil  ko  be-dāġh  samajhtā  thā  jazāmī  niklā
ik  balā  aatī  hai  aur  log  chale  jaate  haiñ
ik  sadā  kahtī  hai  har  aadmī  faanī  niklā
maiñ  vo  murda  huuñ  ki  āñkheñ  mirī  zindoñ  jaisī
bain  kartā  huuñ  ki  maiñ  apnā  hī  saanī  niklā