jin  ko  tauqīr-e-rah-o-rasm-e-vafā  yaad  nahīñ
kyā  gila  un  se  kareñ  jin  ko  ḳhudā  yaad  nahīñ
jaane  aa.e  bhī  the  ḳhushbū  ke  sandese  mujh  ko
jaane  guzrī  thī  dabe  paañv  sabā  yaad  nahīñ
aap  ne  saath  nibhāne  kā  kiyā  thā  va.ada
is  pe  kahte  haiñ  vo  ham  se  ba-ḳhudā  yaad  nahīñ
na  rahā  sham-e-farozāñ  meñ  bhī  vo  sho.ala-e-ishq
aur  parvānoñ  ko  marne  kī  adā  yaad  nahīñ
ek  ummīd-e-masīhā.ī  bhī  āḳhir  kab  tak
phir  na  kahnā  hameñ  ādāb-e-vafā  yaad  nahīñ
sho.ala-e-gul  se  fanā  ho  ga.ī  shabnam  'anjum'
merī  hastī  huī  kyuuñ  ḳhaak  zarā  yaad  nahīñ