utrā  jo  iltifāt  kā  dariyā  na  thā  kabhī
dil  is  qadar  bhī  hijr  kā  maarā  na  thā  kabhī
sarmāya-e-hayāt  the  fardā  ke  ḳhvāb  so
likhā  bisāt-e-jāñ  pe  ḳhasārā  na  thā  kabhī
bikhrā  vo  ḳhaak  ho  ke  mirī  rahguzār  meñ
jo  shaḳhs  aa  ke  ḳhvāb  meñ  miltā  na  thā  kabhī
tanhā.ī  ḳhauf  ye  shab-e-dījūr  ye  ghuTan
guzregī  aise  qabr  meñ  sochā  na  thā  kabhī
ik  aan  meñ  ye  paikar-e-ḳhākī  bikhar  gayā
ye  sāneha  to  ruuh  pe  guzrā  na  thā  kabhī
mastūr  thā  hijāb-e-taqaddus  meñ  soz-e-ishq
āvāza-e-ḳhirām-e-tamannā  na  thā  kabhī
nāsūr  ban  ke  ruuh  ko  ghāyal  kiye  gayā
jo  ashk  chashm-e-nam  ne  girāyā  na  thā  kabhī
to  ye  na  justujū  hai  na  zauq-e-junūn-e-ishq
vīrān  aisā  shahr-e-tamannā  na  thā  kabhī
'anjum'  ye  shab-gazīda  sahar  kyuuñ  nasīb  meñ
maiñ  ne  charāġh-e-shauq  bujhāyā  na  thā  kabhī