Saqi Faruqi

mujhko meri shikast ki dohri saza mili

Saqi Faruqi

Gorakhpur, Uttar pradesh, India

1936-2018

mujh ko mirī shikast dohrī sazā milī

tujh se bichhaḌ ke zindagī duniyā se milī

ik qulzum-e-hayāt jānib chalī thī umr

ik din ye jū-e-tishnagī sahrā se aa milī

ye kaisī be-hisī hai ki patthar huī hai aañkh

vaise to āñsuoñ kumak bār-hā milī

maiñ kaañp uThā thā ḳhud ko vafādār dekh kar

mauj-e-vafā ke paas mauj-e-fanā milī

dīvār-e-hijr par the bahut sāhiboñ ke naam

ye basti-e-firāq bhī shohrat-sarā milī

phir rūd-e-bevafā.ī maiñ bahtā rahā ye jism

ye rañj hai ki terī taraf se duā milī

vo kaun ḳhush-nasīb the jo mutma.in phire

mujh ko to us nigāh se usrat sivā milī

ye umr umr koī ta.āqub meñ kyuuñ rahe

yādoñ meñ gūñjtī huī kis sadā milī

jis havas ke vāste duniyā huī aziiz

vāpas hue to us mohabbat ḳhafā milī

Top Urdushayar.com