azaab  rātoñ  ḳhizāñ-rutoñ  kī  kahānī  likkhūñ
maiñ  terī  furqat  kī  sā.atoñ  ko  zabānī  likkhūñ
bas  ek  pākīza  rabt  hai  rūh-o-jāñ  kā  tujh  se
to  phir  maiñ  is  saare  vāqiye  ko  gumānī  likkhūñ
mujhe  mayassar  haiñ  saare  rishte  vahī  nahīñ  hai
bhalā  maiñ  kis  dil  se  shauq  kī  rā.egānī  likkhūñ
duā  sunā  hai  falak  pe  jā  ke  aTak  ga.ī  hai
so  tujh  ko  paane  kī  kyā  yūñhī  ḳhush-gumānī  likkhūñ
jo  bah  rahe  haiñ  mirī  ragoñ  meñ  haiñ  ashk  mere
bhalā  maiñ  kaise  lahū  kī  apne  ravānī  likkhūñ
kabhī  jo  dariyā  chaḌhā  thā  dil  kā  utar  chukā  hai
to  kyā  maiñ  jazbāt  ke  talātum  ko  faanī  likkhūñ
ye  mere  jīvan  ke  saare  mausam  batā  rahe  haiñ
maiñ  apne  āñgan  ke  har  shajar  kī  javānī  likkhūñ
yam-e-tarab  aur  na  e'tibār-e-junūñ  rahā  hai
so  ishq  mere  tujhe  maiñ  ḳhuld-āshiyānī  likkhūñ
havās-e-ḳhamsa  kā  silsila  bhī  yahīñ  talak  hai
falak  zamīñ  ke  jo  darmiyāñ  hai  makānī  likkhūñ
nahīñ  gayā  vo  kahīñ  bhī  'anjum'  yahīñ  kahīñ  hai
maiñ  shauq  kī  sab  ishāratoñ  ke  ma.ānī  likkhūñ