na  rahe  tum  jo  hamāre  to  sahārā  na  rahā
koī  duniyā-e-mohabbat  meñ  hamārā  na  rahā
ab  koī  aur  zamāne  meñ  sahārā  na  rahā
jis  ko  kahte  the  hamārā  hai  hamārā  na  rahā
de  diyā  hazrat-e-īsā  ne  use  saaf  javāb
tere  bīmār  kā  ab  koī  sahārā  na  rahā
kyā  kaheñ  haal  zamāne  kā  ḳhulāsa  ye  hai
tum  hamāre  na  rahe  koī  hamārā  na  rahā
kyā  kahūñ  anjuman-e-nāz  kā  haal  ai  'bismil'
sab  ke  charche  rahe  bas  zikr  tumhārā  na  rahā