Fana bulandshahri

mere rashk-e-qamar tu ne pahli nazar jab nazar se milai maza aa gaya

Fana bulandshahri

mere rashk-e-qamar tū ne pahlī nazar jab nazar se milā.ī mazā aa gayā
barq sī gir ga.ī kaam hī kar ga.ī aag aisī lagā.ī mazā aa gayā
jaam meñ ghol kar husn kī mastiyāñ chāñdnī muskurā.ī mazā aa gayā
chāñd ke saa.e meñ ai mire sāqiyā tū ne aisī pilā.ī mazā aa gayā
nashsha shīshe meñ añgḌā.ī lene lagā bazm-e-rindāñ meñ sāġhar khanakne lagā
mai-kade pe barasne lagīñ mastiyāñ jab ghaTā ghir ke aa.ī mazā aa gayā
be-hijābāna vo sāmne aa ga.e aur javānī javānī se Takrā ga.ī
aañkh un kī laḌī yuuñ mirī aañkh se dekh kar ye laḌā.ī mazā aa gayā
aañkh meñ thī hayā har mulāqāt par surḳh aariz hue vasl kī baat par
us ne sharmā ke mere savālāt pe aise gardan jhukā.ī mazā aa gayā
shaiḳh-sahab kā īmān bik hī gayā dekh kar husn-e-saqī pighal hī gayā
aaj se pahle ye kitne maġhrūr the luT ga.ī pārsā.ī mazā aa gayā
ai 'fanā' shukr hai aaj bād-e-fanā us ne rakh lī mire pyaar ki aabrū
apne hāthoñ se us ne mirī qabr pe chādar-e-gul chaḌhā.ī mazā aa gayā
Top Urdushayar.com