Fana bulandshahri

un ke jalwon pe hama-waqt nazar hoti hai

Fana bulandshahri

un ke jalvoñ pe hama-vaqt nazar hotī hai

kūcha-e-yār meñ yuuñ apnī basar hotī hai

jaane kyā chiiz mohabbat nazar hotī hai

vo jidhar hote haiñ duniyā udhar hotī hai

hosh vaale merī vahshat ko bhalā kyā samjheñ

un ke dīvānoñ ko aalam ḳhabar hotī hai

ishq meñ chāñd-sitāroñ haqīqat kyā ho

jalva-e-yār pe qurbān sahar hotī hai

aap yaad se hotā hai mirā dil raushan

aap ko dekh ke bedār nazar hotī hai

merī un ko na ḳhabar ho ye koī baat nahīñ

un ko to saare zamāne ḳhabar hotī hai

jazba-e-ishq meñ jannat tamannā kaisī

ye bulandī to mirī gard-e-safar hotī hai

hech hotī hai nigāhoñ meñ matā-e-kaunain

mere dilbar nazar jab bhī idhar hotī hai

mere dāman meñ samā jaate haiñ donoñ aalam

mere jānāñ nazar jab bhī idhar hotī hai

aur kyā hogī mire ishq me.arāj 'fanā'

zindagī yaar ke qadmoñ meñ basar hotī hai

Top Urdushayar.com