jo  na  karnā  thā  kiyā  jo  kuchh  na  honā  thā  huā
chaar  din  kī  zindagī  meñ  kyā  kaheñ  kyā  kyā  huā
ye  samajh  kar  ham  nahīñ  kahte  kisī  se  rāz-e-dil
is  taraf  niklā  zabāñ  se  us  taraf  charchā  huā
bhar  ke  ThanDī  saañs  liiñ  bīmār  ne  jab  karvaTeñ
vo  kaleja  thaam  kar  kahne  lage  ye  kyā  huā
suniye  suniye  ātish-e-ġham  se  hue  ham  jal  ke  ḳhaak
kahiye  kahiye  ab  kaleja  aap  kā  ThanDā  huā
mere  chehre  se  ayaañ  hai  dekh  lo  pahchān  lo
ye  na  pūchho  dil  kā  aalam  dil  kā  naqsha  kyā  huā