Fana bulandshahri

mere dagh-e-dil wo charagh hain nahin nisbaten jinhen sham se

Fana bulandshahri

mire dāġh-e-dil vo charāġh haiñ nahīñ nisbateñ jinheñ shaam se
unheñ tū hī aa ke bujhā.egā ye jale haiñ tere hī naam se
maiñ huuñ ek āshiq-e-be-navā tū navāz apne payām se
ye tirī razā pe tirī ḳhushī tū pukār le kisī naam se
maiñ to gum huuñ terī talāsh meñ mujhe kaun jaane tire sivā
koī kaise mahram-e-rāz ho tirī āshiqī ke maqām se
tirā ishq hai mirī zindagī tirā zikr hai mirī bandagī
tujhe yaad kartā huuñ maiñ sadā mujhe kaam hai isī kaam se
kabhī mai-kade pe jo dil rahā tire āshiqoñ kī nazar paḌe
use kahiye bāda-e-ma.arifat jo chhalak paḌe abhī jaam se
kahīñ uTh ke jā.ūñ maiñ kyuuñ 'fanā' ki payām us kā milā mujhe
jo milā kabhī to milegā vo mujhe dard-e-dil ke maqām se
Top Urdushayar.com