Fana bulandshahri

mere dagh-e-dil wo charagh hain nahin nisbaten jinhen sham se

Fana bulandshahri

mire dāġh-e-dil vo charāġh haiñ nahīñ nisbateñ jinheñ shaam se

unheñ aa ke bujhā.egā ye jale haiñ tere naam se

maiñ huuñ ek āshiq-e-be-navā navāz apne payām se

ye tirī razā pe tirī ḳhushī pukār le kisī naam se

maiñ to gum huuñ terī talāsh meñ mujhe kaun jaane tire sivā

koī kaise mahram-e-rāz ho tirī āshiqī ke maqām se

tirā ishq hai mirī zindagī tirā zikr hai mirī bandagī

tujhe yaad kartā huuñ maiñ sadā mujhe kaam hai isī kaam se

kabhī mai-kade pe jo dil rahā tire āshiqoñ nazar paḌe

use kahiye bāda-e-ma.arifat jo chhalak paḌe abhī jaam se

kahīñ uTh ke jā.ūñ maiñ kyuuñ 'fanā' ki payām us milā mujhe

jo milā kabhī to milegā vo mujhe dard-e-dil ke maqām se

Top Urdushayar.com