Fana bulandshahri

jalwa jo tere ruKH ka ehsas mein Dhal jae

Fana bulandshahri

jalva jo tire ruḳh ehsās meñ Dhal jaa.e

is ālam-e-hastī aalam badal jaa.e

un mast nigāhoñ ik daur jo chal jaa.e

ham dard ke māroñ taqdīr badal jaa.e

masrūf-e-ibādat yuuñ ḳhatm ho afsāna

sar ho tirī chaukhaT pe dam merā nikal jaa.e

laakh bachā dāman dar se na uThūñgā maiñ

un meñ se nahīñ huuñ maiñ Taale se jo Tal jaa.e

ai jān-e-karam mujh par ek chashm-e-karam kar de

aisā na ho dīvāna qadmoñ pe machal jaa.e

hasrat bharī āñkhoñ meñ ik pal ke liye aa

dekhe jo terī sūrat dīvāna bahal jaa.e

aag mohabbat bhar de mirī nas nas meñ

har zarra mire dil is aag meñ jal jaa.e

bijlī tire jalvoñ gir jaa.e kabhī mujh par

ai jaan mirī hastī is aag meñ jal jaa.e

ai chāragaro dekho bīmār-e-mohabbat huuñ

tadbīr karo aisī dil jis se bahal jaa.e

jazb-e-mohabbat meñ kar le vo asar paidā

jis samt nazar uTThe ik tiir chal jaa.e

pāmāl-e-rah-e-ulfat ho jā.ūñ mohabbat meñ

vo shoḳh agar mujh ko qadmoñ se masal jaa.e

taqdīr kare ehsāñ yuuñ ba.ad-e-'fanā' mujh par

ḳhāk-e-dar-e-jānāna muñh par mire mal jaa.e

Top Urdushayar.com