tajalliyoñ  se  añdheroñ  kī  jañg  jaarī  hai
ujāle  surḳh-rū  hoñ  ye  duā  hamārī  hai
jahāñ  pe  kal  thā  gulistāñ  vo  aaj  maqtal  hai
falak  ḳhamosh  hai  phir  dekheñ  kis  kī  baarī  hai
sar-e-niyāz  jhukānā  mohabbateñ  denā
ye  buz-dilī  nahīñ  dar-asl  ḳhāksārī  hai
rah-e-jumūd  se  nafrat  uḌaan  kī  ḳhvāhish
haqīqatan  ye  zarūrat  hai  jāñ-nisārī  hai
ye  gulistāñ  hai  hamārī  riyāzatoñ  kā  samar
ise  sañvārne  meñ  sab  kī  hisse-dārī  hai