ye  kaisī  aag  abhī  ai  sham.a  tere  dil  meñ  baaqī  hai
koī  parvāna  jal  marne  ko  kyā  mahfil  meñ  baaqī  hai
hazāroñ  uTh  ga.e  duniyā  se  apnī  jaan  de  de  kar
magar  ik  bhiiḌ  phir  bhī  kūcha-e-qātil  meñ  baaqī  hai
hue  vo  mutma.in  kyuuñ  sirf  mere  dam  nikalne  par
abhī  to  ek  duniyā-e-tamannā  dil  meñ  baaqī  hai
huā  thā  ġharq  bahr-e-ishq  is  andāz  se  koī
ki  naqsha  Dūbne  kā  dīda-e-sāhil  meñ  baaqī  hai
qazā  se  koī  ye  kah  de  ki  mushtāq-e-shahādat  huuñ
abhī  ik  marne  vaalā  kūcha-e-qātil  meñ  baaqī  hai
kahāñ  fursat  hujūm-e-rañj-o-ġham  se  ham  jo  ye  jāñcheñ
ki  niklī  kyā  tamannā  kyā  tamannā  dil  meñ  baaqī  hai
abhī  se  apnā  dil  thāme  hue  kyuuñ  log  baiThe  haiñ
abhī  to  hashr  uThne  ko  tirī  mahfil  meñ  baaqī  hai
vahāñ  the  jam.a  jitne  marne  vaale  mar  ga.e  vo  sab
qazā  le-de  ke  bas  ab  kūcha-e-qātil  meñ  baaqī  hai
abhī  se  tū  ne  qātil  myaan  meñ  talvār  kyuuñ  rakh  lī
abhī  to  jaan  thoḌī  sī  tan-e-'bismil'  meñ  baaqī  hai