khel  thā  apnī  anā  kā  ishq  use  samjhā  kiyā
maiñ  ne  apne  aap  se  kitnā  baḌā  dhokā  kiyā
umr-bhar  kā  ham-nafas  ik  pal  meñ  ruḳhsat  ho  gayā
aur  maiñ  ḳhāmosh  use  jaate  hue  dekhā  kiyā
ik  zarā  sī  baat  par  rūThā  rahā  vo  der  tak
muskurā  ke  ḳhud  hī  phir  merī  taraf  chehrā  kiyā
fikr  kī  lazzat  ke  baa.is  haiñ  mirī  nākāmiyāñ
sab  amal  karte  rahe  aur  maiñ  faqat  sochā  kiyā
zaḳhm  kī  ik  aag  thī  jis  se  suḳhan  raushan  rakhā
dard  kī  ik  lahar  thī  maiñ  ne  jise  naġhma  kiyā
sab  hī  kuchh  us  se  na  kahnā  thā  jo  tere  dil  meñ  thā
shiddat-e-iz.hār  meñ  tū  ne  'farāsat'  kyā  kiyā