kisī  tarah  bhī  kisī  se  na  dil  lagānā  thā
ḳhayāl-e-yār  meñ  duniyā  ko  bhuul  jaanā  thā
jo  be-ruḳhī  thī  yahī  ruḳh  nahīñ  chhupānā  thā
mire  ḳhayāl  meñ  bhī  aap  ko  na  aanā  thā
isī  sabab  se  vo  parde  meñ  chhup  ke  baiThe  haiñ
ki  parde  parde  meñ  kuchh  un  ko  rañg  laanā  thā
azal  se  ruuh  jo  phūñkī  ga.ī  hai  zarroñ  meñ
to  ye  samajh  lo  ki  jalva  use  dikhānā  thā
zamāna  khiñch  ke  pahuñchtā  hai  apne  markaz  par
zarūr  dā.era-e-zindagī  meñ  aanā  thā