shām-e-be-mehar  meñ  ik  yaad  kā  jugnū  chamkā
aur  phir  ek  hī  chehra  thā  ki  har-sū  chamkā
ai  charāġh-e-nigah-e-yār  maiñ  jaañ  se  guzrā
ab  mujhe  kyā  jo  pa.e  dil-zadagāñ  to  chamkā
roz  milte  the  to  be-rañg  thā  terā  milnā
duur  rahne  se  tire  qurb  kā  jaadū  chamkā
dil  meñ  phir  bujhne  lagā  zabt  kā  taarā  koī
phir  mirī  nok-e-mizha  par  koī  aañsū  chamkā
tāj-e-ḳhusrav  kī  chamak  maañd  paḌī  jaatī  hai
shahr  ke  kūcha-o-bāzār  meñ  lohū  chamkā
kho  gayā  hai  unhī  tārīk  ḳhalāoñ  meñ  kahīñ
vo  bhī  kyā  chāñd  thā  jis  se  mirā  pahlū  chamkā
maiñ  ne  jaanā  ki  'farāsat'  koī  ġham-ḳhvār  aayā
aks-e-mahtāb  kuchh  is  tarah  lab-e-jū  chamkā