kisī  ko  kab  vo  apne  dil  kā  kuchh  ahvāl  detā  hai
maiñ  us  se  baat  kartā  huuñ  vo  mujh  ko  Taal  detā  hai
koī  to  hai  jo  is  hairat-sarā-e-nūr-o-zulmat  meñ
sitāre  ko  ziyā  ā.īne  ko  timsāl  detā  hai
bahut  inkār  kartā  hai  savāl-e-vasl  par  lekin
ḳhafā  ho  jā.ūñ  to  gardan  meñ  bāñheñ  Daal  detā  hai
koī  chehroñ  kā  saudāgar  chhupā  hai  is  ḳharābe  meñ
purānī  sūrateñ  le  kar  na.ī  ashkāl  detā  hai
maiñ  jis  lamhe  guzarte  vaqt  ko  mahsūs  kartā  huuñ
vo  ik  lamha  'farāsat'  ranj-e-māh-o-sāl  detā  hai