ki  phir  paidā  mirī  ḳhātir  koī  mushkil  na  ho  jaa.e
pareshāñ  huuñ  ye  merā  dil  kahīñ  buzdil  na  ho  jaa.e
bhañvar  meñ  merī  kashtī  ko  yahī  ehsās  rahtā  hai
Dubone  meñ  mirā  ye  nāḳhudā  shāmil  na  ho  jaa.e
isī  ik  ḳhauf  se  maiñ  apnī  palkeñ  tak  nahīñ  jhapkūñ
ki  us  kā  chehra  āñkhoñ  se  merī  ojhal  na  ho  jaa.e
mujhe  is  baat  kī  har  lamha  itnī  fikr  rahtī  hai
ki  us  kī  yaad  se  merā  ye  dil  ġhāfil  na  ho  jaa.e
kabhī  us  kī  jafāoñ  kī  shikāyat  karnā  bhī  chāhūñ
magar  phir  sochtī  huuñ  vo  kahīñ  bad-dil  na  ho  jaa.e
bhalā  thak  haar  kar  baiThūñ  'robīna'  to  kahāñ  baiThūñ
jise  maiñ  chhoḌnā  chāhūñ  mirī  manzil  na  ho  jaa.e