Robeena Meer

har ek gam par hadisa ham-safar hai

Robeena Meer

har ik gaam par hādisa ham-safar hai
kaThin kis qadar zindagī kī Dagar hai
kaTe kaise afsurda tāroñ kī lau meñ
bahut hī bhayānak rutoñ kā safar hai
bhalā kyuuñ na uljhe vo sāñsoñ se apnī
pareshān ḳhud se jo koī bashar hai
haiñ aise meñ vīrāniyāñ dil kī lāzim
shajar ārzuoñ kā jab be-samar hai
hai 'robīna' kā tajraba ye barābar
ki uljhā huā zindagī kā safar hai
Top Urdushayar.com