har  ik  gaam  par  hādisa  ham-safar  hai
kaThin  kis  qadar  zindagī  kī  Dagar  hai
kaTe  kaise  afsurda  tāroñ  kī  lau  meñ
bahut  hī  bhayānak  rutoñ  kā  safar  hai
bhalā  kyuuñ  na  uljhe  vo  sāñsoñ  se  apnī
pareshān  ḳhud  se  jo  koī  bashar  hai
haiñ  aise  meñ  vīrāniyāñ  dil  kī  lāzim
shajar  ārzuoñ  kā  jab  be-samar  hai
hai  'robīna'  kā  tajraba  ye  barābar
ki  uljhā  huā  zindagī  kā  safar  hai