yuuñ  na  rañj-o-malāl  kījiyegā
yuuñ  na  jiinā  muhāl  kījiyegā
jin  kā  koī  javāb  mumkin  ho
ham  se  aise  savāl  kījiyegā
ham  ne  ho  aap  kā  burā  chāhā
pesh  koī  misāl  kījiyegā
log  paḌ  jaa.eñ  jis  se  hairat  meñ
aisā  bhī  kuchh  kamāl  kījiyegā
ham  ki  sambhle  haiñ  saḳht  mushkil  se
ab  na  paidā  vabāl  kījiyegā
jis  se  mazbūt  dil  ke  rishte  hoñ
vo  ta.alluq  bahāl  kījiyegā
jī  rahī  hai  ye  kaise  'robīna'
apnī  kuchh  dekh-bhāl  kījiyegā