be-ruḳhī  hī  be-ruḳhī  hai  har  taraf
bikhrī  bikhrī  zindagī  hai  har  taraf
dushmanī  hī  dushmanī  hai  har  taraf
aag  nafrat  kī  lagī  hai  har  taraf
kis  ne  ye  jiinā  ajīran  kar  diyā
ḳhauf  dahshat  sansanī  hai  har  taraf
koī  shai  bhī  ab  nahīñ  hai  mashriqī
rañg  sab  kā  maġhribī  hai  har  taraf
baat  jo  dil  meñ  hai  kah  sakte  nahīñ
kaisī  apnī  bebasī  hai  har  taraf
aadmī  meñ  ādamiyat  tak  nahīñ
baat  achchhī  kaun  sī  hai  har  taraf
jis  meñ  'robīna'  nahīñ  hai  fikr-o-fan
kyā  kaheñ  kyā  shā.irī  hai  har  taraf