rāsta  hogā  jab  tak  na  hamvār  sā
har  safar  hogā  phir  us  pe  dushvār  sā
ye  ḳhulūs-o-mohabbat  kī  zanjīr  thī
jis  ne  kar  Daalā  us  ko  giraftār  sā
us  kā  chehra  lakīroñ  meñ  baT  sā  gayā
apnī  ḳhātir  banā  hai  vo  āzār  sā
is  zabāñ  se  use  kuchh  na  kahnā  magar
lafz  tahrīr  meñ  rakhnā  talvār  sā
kyā  'robīna'  tire  haath  thakte  nahīñ
likhte  likhte  kahānī  kā  kirdār  sā